hamein un se unhen ghairon se ulfat hone wali hai
hameñ un se unheñ ġhairoñ se ulfat hone vaalī hai
hamārī aur un kī ek hālat hone vaalī hai
misāl-e-sub.h kuchh faq-faq hai shām-e-vasl kā chehra
ye aamad hī se zāhir hai ki ruḳhsat hone vaalī hai
uTho rindo chalo jaldī se mai-ḳhāne meñ sab mil kar
sunā hai shaiḳh jī kī aaj dāvat hone vaalī hai
ubharne vaalī sab chīzeñ ubhar ā.eñgī ai zālim
javānī aane vaalī hai qiyāmat hone vaalī hai
vo mere dīda-o-dil dekh kar kahte haiñ mahshar meñ
unhī jhūTe gavāhoñ kī shahādat hone vaalī hai
hamein un se unhen ghairon se ulfat hone wali hai
hamari aur un ki ek haalat hone wali hai
misal-e-subh kuchh faq-faq hai sham-e-wasl ka chehra
ye aamad hi se zahir hai ki ruKHsat hone wali hai
uTho rindo chalo jaldi se mai-KHane mein sab mil kar
suna hai shaiKH ji ki aaj dawat hone wali hai
ubharne wali sab chizen ubhar aaengi ai zalim
jawani aane wali hai qiyamat hone wali hai
wo mere dida-o-dil dekh kar kahte hain mahshar mein
unhi jhuTe gawahon ki shahadat hone wali hai
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.