Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sitam se baz aa zalim qiyamat hone wali hai

Unknown

sitam se baz aa zalim qiyamat hone wali hai

Unknown

MORE BYUnknown

    sitam se baaz aa zālim qiyāmat hone vaalī hai

    ye pesh-e-dāvar-e-mahshar 'adālat hone vaalī hai

    nazar baazū sambhal baiTho qiyāmat hone vaalī hai

    kisī ke husn roz-afzūñ shohrat hone vaalī hai

    hamāre 'ishq duniyā meñ shohrat hone vaalī hai

    kisī ma.ashūq kamsin sharārat hone vaalī hai

    ḳhadañg-e-yār mushtāq dil bhī hai jigar bhī hai

    sitam ye hai ki donoñ meñ raqābat hone vaalī hai

    na iThlā kar chalo har-har qadam par aisī shoḳhī se

    tumhārī chaal se barpā qiyāmat hone vaalī hai

    kisī ke husn par un tabī.at aatī jaatī hai

    hasīnoñ ko ḳhabar kar do 'adālat hone vaalī hai

    liye shamshīr-e-burrāñ aaj vo maqtal meñ aate haiñ

    mubārakbād mushtāqo shahādat hone vaalī hai

    sitam se baz aa zalim qiyamat hone wali hai

    ye pesh-e-dawar-e-mahshar 'adalat hone wali hai

    nazar bazu sambhal baiTho qiyamat hone wali hai

    kisi ke husn roz-afzun ki shohrat hone wali hai

    hamare 'ishq ki duniya mein shohrat hone wali hai

    kisi mashuq kamsin ki shararat hone wali hai

    KHadang-e-yar ka mushtaq dil bhi hai jigar bhi hai

    sitam ye hai ki donon mein raqabat hone wali hai

    na iThla kar chalo har-har qadam par aisi shoKHi se

    tumhaari chaal se barpa qiyamat hone wali hai

    kisi ke husn par un ki tabiat aati jati hai

    hasinon ko KHabar kar do 'adalat hone wali hai

    liye shamshir-e-burran aaj wo maqtal mein aate hain

    mubarakbaad mushtaqo shahadat hone wali hai

    Source :
    • Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 20)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now