na bosa dena aata hai na dil bahlana aata hai
na bosa denā aatā hai na dil bahlānā aatā hai
tujhe to o but-e-kāfir faqat tarsānā aatā hai
jo tum hañsne meñ ho mashshāq ham rone meñ kāmil haiñ
tumheñ bijlī girānā ham ko meñh barsānā aatā hai
bichhā kar dām-e-gesū ruḳh pe vo sayyād yuuñ bolā
ye phandā vo hai jis meñ murġh-e-dil be-dāna aatā hai
surāhī qahqaha bhartī hai miinā muskurātā hai
hamārā yaar jis dam jānib-e-mai-ḳhāna aatā hai
tabassum kī jagah us kāfir-e-bad-kesh ko ai 'rind'
ḳhafā honā bigaḌnā mārnā dhamkānā aatā hai
na bosa dena aata hai na dil bahlana aata hai
tujhe to o but-e-kafir faqat tarsana aata hai
jo tum hansne mein ho mashshaq hum rone mein kaamil hain
tumhein bijli girana hum ko meinh barsana aata hai
bichha kar dam-e-gesu ruKH pe wo sayyaad yun bola
ye phanda wo hai jis mein murgh-e-dil be-dana aata hai
surahi qahqaha bharti hai mina muskuraata hai
hamara yar jis dam jaanib-e-mai-KHana aata hai
tabassum ki jagah us kafir-e-bad-kesh ko ai 'rind'
KHafa hona bigaDna marna dhamkana aata hai
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 20)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.