yar ki galiyon mein kyun kar yar jaana chhoD de
yaar kī galiyoñ meñ kyuuñ kar yaar jaanā chhoḌ de
kis tarah bulbul chaman se āshiyāna chhoḌ de
ye hañsī achchhī nahīñ yaañ dil pe bijlī gir paḌī
nīchī nazroñ se mirī jaañ muskurānā chhoḌ de
tark kar ġhairoñ se yaarī ye chalan achchhā nahīñ
vaañ kā jaanā chhoḌ de un kā bulānā chhoḌ de
dekh kar āzurda-ḳhātir mujh ko bolā vo sanam
jo burā maane mirī mahfil meñ aanā chhoḌ de
yā ilāhī vo na chhūTe us kā chhuTnā hai ġhazab
yuuñ maiñ raazī huuñ mujhe chāhe zamāna chhoḌ de
ḳhalq sab kahtī hai us ko sajda-gāh-e-’āshiqāñ
sar mirā kyuuñ kar kisī kā āstāna chhoḌ de
hashr meñ pesh-e-ḳhudā tū jā ke kyā degā javāb
dekh 'tāhir' un butoñ se dil lagānā chhoḌ de
yar ki galiyon mein kyun kar yar jaana chhoD de
kis tarah bulbul chaman se aashiyana chhoD de
ye hansi achchhi nahin yan dil pe bijli gir paDi
nichi nazron se meri jaan muskurana chhoD de
tark kar ghairon se yari ye chalan achchha nahin
wan ka jaana chhoD de un ka bulana chhoD de
dekh kar aazurda-KHatir mujh ko bola wo sanam
jo bura mane meri mahfil mein aana chhoD de
ya ilahi wo na chhuTe us ka chhuTna hai ghazab
yun main raazi hun mujhe chahe zamana chhoD de
KHalq sab kahti hai us ko sajda-gah-e-’ashiqan
sar mera kyun kar kisi ka aastana chhoD de
hashr mein pesh-e-KHuda tu ja ke kya dega jawab
dekh 'tahir' un buton se dil lagana chhoD de
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 21)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.