sab hasinon mein tarah-dar bane baiThe hain
sab hasīnoñ meñ tarah-dār bane baiThe haiñ
misl-e-yūsuf sar-e-bāzār bane baiThe haiñ
barsar-e-āsmāñ ġhaffār bane baiThe haiñ
bar zamīñ ahmad-e-muḳhtār bane baiThe haiñ
dair ka.abe meñ kalīse meñ haram meñ be-shak
kahīñ kāfir kahīñ dīñ-dār bane baiThe haiñ
bel meñ buuTe meñ patte meñ samar meñ ba-ḳhudā
kahīñ gun aur kahīñ gulzār bane baiThe haiñ
jin kā charchā thā hasīnoñ meñ unheñ to dekho
gul-ruḳhoñ meñ mire aġhyār bane baiThe haiñ
kal talak ka.abe kā karte the tavāf aap 'azīz'
aaj hindū bane zunnār bane baiThe haiñ
sab hasinon mein tarah-dar bane baiThe hain
misl-e-yusuf sar-e-bazar bane baiThe hain
barsar-e-asman ghaffar bane baiThe hain
bar zamin ahmad-e-muKHtar bane baiThe hain
dair kabe mein kalise mein haram mein be-shak
kahin kafir kahin din-dar bane baiThe hain
bel mein buTe mein patte mein samar mein ba-KHuda
kahin gun aur kahin gulzar bane baiThe hain
jin ka charcha tha hasinon mein unhen to dekho
gul-ruKHon mein mere aghyar bane baiThe hain
kal talak kabe ka karte the tawaf aap 'aziz'
aaj hindu bane zunnar bane baiThe hain
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.