jo puchha humne hasrat-e-wasl ki kab dil se niklegi
jo pūchhā ham ne hasrat-e-vasl kī kab dil se niklegī
to farmāne lage hañs kar baḌī mushkil se niklegī
hamārī laash jis dam kūcha-e-qātil se niklegī
qiyāmat jis ko kahte haiñ tirī mahfil se niklegī
lipaT jā ḳhanjar-e-qātil se gar shauq-e-shahādat hai
vahī maqbūl hovegī du'ā jo dil se niklegī
hamārā naam lekar khīñch tū ik aah ai majnūñ
abhī lailā taḌap kar parda-e-mahmil se niklegī
du'ā dūñgā jo ḳhush hūñgā satāoge to kosuñgā
'safīr' achchhī bhī niklegī burī bhī dil se niklegī
jo puchha hum ne hasrat-e-wasl ki kab dil se niklegi
to farmane lage hans kar baDi mushkil se niklegi
hamari lash jis dam kucha-e-qatil se niklegi
qiyamat jis ko kahte hain teri mahfil se niklegi
lipaT ja KHanjar-e-qatil se gar shauq-e-shahadat hai
wahi maqbul howegi du'a jo dil se niklegi
hamara nam lekar khinch tu ek aah ai majnun
abhi laila taDap kar parda-e-mahmil se niklegi
du'a dunga jo KHush hunga sataoge to kosunga
'safir' achchhi bhi niklegi buri bhi dil se niklegi
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 24)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.