chahne wale hon jin ke wo hasin achchhe hain
Interesting Fact
گلدستۂ قوالی میں مذکورہ غزل عباسی جان طوائف سے منسوب ہے۔
chāhne vaale hoñ jin ke vo hasīñ achchhe haiñ
mushtarī jin ke hoñ vo zohra-jabīñ achchhe haiñ
ek se ek zamāne meñ hai baḌh kar lekin
haath aa jaa.eñ jo apne vo hasīñ achchhe haiñ
ai masīhā mirī bālīñ pe dam-e-naza’ to aa
tere bīmār ke āsār nahīñ achchhe haiñ
pher kar dil ko ba-sad nāz-o-adā se ye kahā
us mū-e-dil ke to kirdār nahīñ achchhe haiñ
chahne wale hon jin ke wo hasin achchhe hain
mushtari jin ke hon wo zohra-jabin achchhe hain
ek se ek zamane mein hai baDh kar lekin
hath aa jaen jo apne wo hasin achchhe hain
ai masiha meri baalin pe dam-e-naza’ to aa
tere bimar ke aasar nahin achchhe hain
pher kar dil ko ba-sad naz-o-ada se ye kaha
us mu-e-dil ke to kirdar nahin achchhe hain
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 24)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.