zamana chhan mara hai ye duniya dekhi-bhaali hai
zamāna chhān maarā hai ye duniyā dekhī-bhālī hai
na koī hai ḳhush-o-ḳhurram na koī ġham se ḳhālī hai
zamāna tujh pe martā hai zamāna terā shaidā hai
ḳhudā ne shakl tere nuur ke sāñche meñ Dhālī hai
kisī kī kam-sinī kahtī hai mujh se dekhtā kyā hai
abhī tham jā zarā dam le qiyāmat hone vaalī hai
tasadduq apne qātil ke liye teġh aayā nazroñ meñ
hamāre qatl kī is ne na.ī sūrat nikālī hai
'adū se tum nahīñ milte yaqīñ aa.e mujhe kyuuñ kar
usī ke kahne sunñe se chhurī mujh par nikālī hai
kisī kī zulf-e-nāgin chheḌ kar yuuñ haath maltā hai
qazā goyā na aa.ī thī zabardastī bulā lī hai
ilāhī vasl kī shab aur ye sharm-o-hayā kaisī
kabhī vo sāmne aa.e kabhī sūrat chhupā.ī hai
abhī niklā hai din dekho abhī phir shaam honī hai
abhī ham ne shab-e-hijrāñ baḌī mushkil se Taalī hai
hamesha vo daġhā karte haiñ 'āshiq se but kāfir
kisī se aaj milne kī qasam to ham ne khā lī hai
kabhī vo vā’da karte haiñ kabhī vo bhuul jaate haiñ
dil-e-'raushan' kī kis din aap ne hasrat nikālī hai
zamana chhan mara hai ye duniya dekhi-bhaali hai
na koi hai KHush-o-KHurram na koi gham se KHali hai
zamana tujh pe marta hai zamana tera shaida hai
KHuda ne shakl tere nur ke sanche mein Dhaali hai
kisi ki kam-sini kahti hai mujh se dekhta kya hai
abhi tham ja zara dam le qiyamat hone wali hai
tasadduq apne qatil ke liye tegh aaya nazron mein
hamare qatl ki is ne nai surat nikali hai
'adu se tum nahin milte yaqin aae mujhe kyun kar
usi ke kahne sunne se chhuri mujh par nikali hai
kisi ki zulf-e-nagin chheD kar yun hath malta hai
qaza goya na aai thi zabardasti bula li hai
ilahi wasl ki shab aur ye sharm-o-haya kaisi
kabhi wo samne aae kabhi surat chhupai hai
abhi nikla hai din dekho abhi phir sham honi hai
abhi hum ne shab-e-hijran baDi mushkil se Tali hai
hamesha wo dagha karte hain 'ashiq se but kafir
kisi se aaj milne ki qasam to hum ne kha li hai
kabhi wo wa’da karte hain kabhi wo bhul jate hain
dil-e-'raushan' ki kis din aap ne hasrat nikali hai
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.