kis kis ada se tu ne jalwa dikha ke mara
kis kis adā se tū ne jalva dikhā ke maarā
āzād ho chuke the banda banā ke maarā
gardan meñ qumriyoñ kī ulfat kā tauq Daalā
bulbul ko yaar tuune gul meñ phañsā ke maarā
āñkhoñ meñ terī zālim chhuriyāñ chubho rahī haiñ
jis ko nazar se dekhā palkeñ uThā ke maarā
mujh ko namāz paḌhte tirchhī nazar se dekhā
allāh-re terī shoḳhī ghar meñ ḳhudā ke maarā
aap hī banā tū mansūr ḳhud bol uThThā anal-haq
ik mard-e-be-gunāh ko suulī chaḌhā ke maarā
kis kis ada se tu ne jalwa dikha ke mara
aazad ho chuke the banda bana ke mara
gardan mein qumriyon ki ulfat ka tauq Dala
bulbul ko yar tune gul mein phansa ke mara
aankhon mein teri zalim chhuriyan chubho rahi hain
jis ko nazar se dekha palken uTha ke mara
mujh ko namaz paDhte tirchhi nazar se dekha
allah-re teri shoKHi ghar mein KHuda ke mara
aap hi bana tu mansur KHud bol uThTha anal-haq
ek mard-e-be-gunah ko suli chaDha ke mara
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.