Sufinama

pila kar jam wahdat ka mujhe mastana tu kar de

Unknown

pila kar jam wahdat ka mujhe mastana tu kar de

Unknown

MORE BYUnknown

    pilā kar jaam vahdat mujhe mastāna kar de

    mirā ābād ai murshid dil-e-vīrāna kar de

    mai-e-ulfat se ai saaqī mirā paimāna bhar de

    anal-haq sadā nikle agar mastāna kar de

    pilā de mujh ko ai saaqī karam se bāda-e-gul-rañg

    ḳhudā-rā bazm-e-ālam se mujhe begāna kar de

    jo ulfat de to aisī de tavajjoh de to aisī de

    sham.a ban baiTh mahfil meñ mujhe parvāna kar de

    habāb-e-bahr meñ jo huuñ to dariyā-e-rahmat se

    ilāhī apnī ulfat meñ mujhe dīvāna kar de

    fanā ho kar baqā pā.ūñ maiñ tere ’ishq-o-ulfat meñ

    ye merī ḳhaak ko ai kūza-gar paimāna kar de

    ilāhī 'abr' qismat hamesha vasl-e-murshid ho

    sadaf meñ bahr-e-vahdat ke mujhe durdāna kar de

    pila kar jam wahdat ka mujhe mastana tu kar de

    mera aabaad ai murshid dil-e-virana tu kar de

    mai-e-ulfat se ai saqi mera paimana tu bhar de

    anal-haq ki sada nikle agar mastana tu kar de

    pila de mujh ko ai saqi karam se baada-e-gul-rang

    KHuda-ra bazm-e-alam se mujhe begana tu kar de

    jo ulfat de to aisi de tawajjoh de to aisi de

    shama ban baiTh mahfil mein mujhe parwana tu kar de

    habab-e-bahr mein jo hun to tu dariya-e-rahmat se

    ilahi apni ulfat mein mujhe diwana tu kar de

    fana ho kar baqa paun main tere ’ishq-o-ulfat mein

    ye meri KHak ko ai kuza-gar paimana tu kar de

    ilahi 'abr' ki qismat hamesha wasl-e-murshid ho

    sadaf mein bahr-e-wahdat ke mujhe durdana tu kar de

    Source :
    • Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 28)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now