Khaar-e-hasrat qabr tak dil mein khaTakta jaega
ḳhār-e-hasrat qabr tak dil meñ khaTaktā jā.egā
murġh-e-bismil kī tarah lāsha pharaktā jā.egā
dekhiye kab tak javāb-e-ḳhat se āñkheñ shaad hoñ
rāsta dekhā nahīñ qāsid bhaTaktā jā.egā
jaan jā.egī jo ‘ishq-e-’āriz-e-gul-rañg meñ
taḳhta-e-tābūt misl-e-gul mahaktā jā.egā
maiñ vo kushta huuñ ki merī laash par ai dosto
ik zamāna dīda-e-hasrat se taktā jā.egā
chun ke afshāñ baam par bahr-e-ḳhudā mat jā.iyo
ai sanam jo dekh legā sar Tapaktā jā.egā
mar gayā huuñ maiñ kisī kī hasrat-e-dīdār meñ
qabr tak lāsha bhī merā raah taktā jā.egā
ai 'zafar' qaa.im rahegī jab talak aqlīm-e-hind
akHtar-e-iqbāl us gul kā chamaktā jā.egā
KHar-e-hasrat qabr tak dil mein khaTakta jaega
murgh-e-bismil ki tarah lasha pharakta jaega
dekhiye kab tak jawab-e-KHat se aankhen shad hon
rasta dekha nahin qasid bhaTakta jaega
jaan jaegi jo ‘ishq-e-’ariz-e-gul-rang mein
taKHta-e-tabut misl-e-gul mahakta jaega
main wo kushta hun ki meri lash par ai dosto
ek zamana dida-e-hasrat se takta jaega
chun ke afshan baam par bahr-e-KHuda mat jaiyo
ai sanam jo dekh lega sar Tapakta jaega
mar gaya hun main kisi ki hasrat-e-didar mein
qabr tak lasha bhi mera rah takta jaega
ai 'zafar' qaim rahegi jab talak aqlim-e-hind
akHtar-e-iqbaal us gul ka chamakta jaega
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.