bait-us-sanam ko chhoD ke kabe na jaenge
bait-us-sanam ko chhoḌ ke ka.abe na jā.eñge
vaañ bhī vahī sanam ho to kyā muñh dikhā.eñge
josh-e-junūñ meñ ham bhī kabhī apne ā.eñge
majnūñ baneñge ham tumheñ lailā banā.eñge
'āshiq ko kyā zarūr hai ka.abe ko jaane kī
ham apnā kū-e-yār meñ ka.aba banā.eñge
rashk-e-masīh baaġh meñ tashrīf lā.eñge
bulbul kareñge shor to gul ḳhaar khā.eñge
yaaro kafan hamāre liye kyā zarūr hai
'uryāñ jahāñ meñ aa.e haiñ 'uryāñ hī jā.eñge
duniyā meñ aake ham ne koī kaam nā ka.e
nekī kahāñ hai saath jo ham le ke jā.eñge
zāhid ummīd hai hameñ dozaḳh kī aag se
mahshar ke roz hazrat-e-maulā bachā.eñge
qudrat vasīla hai tumheñ ma.abūd-e-pāk kā
'sābir' ke dar ko chhoḌ ke hargiz na jā.eñge
bait-us-sanam ko chhoD ke kabe na jaenge
wan bhi wahi sanam ho to kya munh dikhaenge
josh-e-junun mein hum bhi kabhi apne aaenge
majnun banenge hum tumhein laila banaenge
'ashiq ko kya zarur hai kabe ko jaane ki
hum apna ku-e-yar mein kaba banaenge
rashk-e-masih bagh mein tashrif laenge
bulbul karenge shor to gul KHar khaenge
yaro kafan hamare liye kya zarur hai
'uryan jahan mein aae hain 'uryan hi jaenge
duniya mein aake hum ne koi kaam na kae
neki kahan hai sath jo hum le ke jaenge
zahid ummid hai hamein dozaKH ki aag se
mahshar ke roz hazrat-e-maula bachaenge
qudrat wasila hai tumhein mabud-e-pak ka
'sabir' ke dar ko chhoD ke hargiz na jaenge
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.