ishq ka rang tere dil pe jama lun to kahun
'ishq kā rañg tire dil pe jamā luuñ to kahūñ
vasl kā koī vasīla bhī maiñ pā luuñ to kahūñ
jo mazā dil ko milā hai vo na pūchh ai qātil
zakHm-e-shamshīr abhī aur maiñ khālūñ to kahūñ
dāstān-e-hijr kī tum vasl meñ gar pūchhte ho
ashk-e-ḳhūñ āñkhoñ se ai yaar bahā.ūñ to kahūñ
pūchhte aap haiñ jo dard-e-judā.ī mujh se
pahle siina se tumheñ apnī lagā luuñ to kahūñ
haa.e vo sote haiñ aur vasl kī shab jaatī hai
dam zarā le dil-e-be-tāb jagā luuñ to kahūñ
haa.e kyā pūchhte ho soz-e-ġham-e-furqat ko
aag bhaḌkī hai kaleja maiñ bujhā luuñ to kahūñ
va.ada-e-vasl pe kahte haiñ vo hañs kar dūlhā
ā.īna dekh ke zulfoñ ko banā luuñ to kahūñ
'ishq ka rang tere dil pe jama lun to kahun
wasl ka koi wasila bhi main pa lun to kahun
jo maza dil ko mila hai wo na puchh ai qatil
zakHm-e-shamshir abhi aur main khaalun to kahun
dastan-e-hijr ki tum wasl mein gar puchhte ho
ashk-e-KHun aankhon se ai yar bahaun to kahun
puchhte aap hain jo dard-e-judai mujh se
pahle sina se tumhein apni laga lun to kahun
hae wo sote hain aur wasl ki shab jati hai
dam zara le dil-e-be-tab jaga lun to kahun
hae kya puchhte ho soz-e-gham-e-furqat ko
aag bhaDki hai kaleja main bujha lun to kahun
wada-e-wasl pe kahte hain wo hans kar dulha
aaina dekh ke zulfon ko bana lun to kahun
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 5)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.