agar tū ne kahnā na maanā kisī kā
burā hogā zālim satāna kisī kā
'abas hai ye mehñdī lagānā kisī kā
hai madd-e-nazar ḳhuuñ bahānā kisī kā
mere rone par muskurānā kisī kā
ġhazab hai ye bijlī girānā kisī kā
jahāñ jis ko taakā vahīñ us ko maarā
qiyāmat hai yā-rab nishānā kisī kā
jo pūchhe koī ham se be-parda kah deñ
vo ġhairoñ ke ghar chhup ke jaanā kisī kā
nazar daulat-e-husn kī taak meñ hai
kahīñ luT na jaa.e ḳhazānā kisī kā
to barq apnī be-tābiyāñ bhuul jaa.e
agar dekh le tilmilānā kisī kā
merā qissa-e-hijr sun kar vo bole
mazedār hai ye fasānā kisī kā
kalīsā meñ hai yā hai dair-o-haram meñ
batā.ūñ tumheñ kyā Thikānā kisī kā
nikal jā.eñgī hasrateñ terī ai dil
shab-e-vasl hogā jo aanā kisī kā
shab-e-va.ada ḳhuuñ ai 'rashīd' apnā hogā
vo paañv meñ mehñdī lagānā kisī kā
agar tu ne kahna na mana kisi ka
bura hoga zalim satana kisi ka
'abas hai ye mehndi lagana kisi ka
hai madd-e-nazar KHun bahana kisi ka
mere rone par muskurana kisi ka
ghazab hai ye bijli girana kisi ka
jahan jis ko taka wahin us ko mara
qiyamat hai ya-rab nishana kisi ka
jo puchhe koi hum se be-parda kah den
wo ghairon ke ghar chhup ke jaana kisi ka
nazar daulat-e-husn ki tak mein hai
kahin luT na jae KHazana kisi ka
to barq apni be-tabiyan bhul jae
agar dekh le tilmilana kisi ka
mera qissa-e-hijr sun kar wo bole
mazedar hai ye fasana kisi ka
kalisa mein hai ya hai dair-o-haram mein
bataun tumhein kya Thikana kisi ka
nikal jaengi hasraten teri ai dil
shab-e-wasl hoga jo aana kisi ka
shab-e-wada KHun ai 'rashid' apna hoga
wo panw mein mehndi lagana kisi ka
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 11)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.