mubārak javānī pe aanā kisī kā
huā auj par ab zamāna kisī kā
shab-e-vasl to chain se guzrī lekin
sitam ho gayā sub.h jaanā kisī kā
utar aa.e zohra falak se chhamā-chham
ye hai sehr vallāh gaanā kisī kā
bulāyā hai qāsid to jā kar ye kah de
ki kyā khel samjhā hai aanā kisī kā
liyā bosa jhaT-jhaT to jhuñjhlā ke bole
hai be-shak burā muñh lagānā kisī kā
kahā hāl-e-dil merā suniye to bole
nahīñ bhātā ham ko fasānā kisī kā
lage toḌne band mahram ke joban
sitam hai javānī pe aanā kisī kā
yahāñ kyā hai mahshar meñ ma.alūm hogā
tumheñ sho.ala-rū yuuñ jalānā kisī kā
ġhazab thā sitam thā vo aTkheliyoñ se
chhamā-chham shab-e-vasl aanā kisī kā
kahā un ko jab sho.ala-rū hañs ke bole
hai zebā hameñ ab jalānā kisī kā
vo baiThe haiñ koThe pe bikhrā ke zulfeñ
hai madd-e-nazar dil phañsānā kisī kā
ḳhizāñ aate hī baaġh mātam-sarā thā
qiyāmat hai bulbul ye aanā kisī kā
mohabbat meñ kho baiThe jān-o-jigar dil
batā.eñ tumheñ kyā Thikānā kisī kā
chhupā kar dupaTTe se muñh apnā bole
mazā de gayā muskurānā kisī kā
na maġhrūr ho daulat-e-husn par tum
rahā hai kahāñ ye ḳhazānā kisī kā
sabhī kahte the 'ishq hai āfat-e-jāñ
kahā tum ne hargiz na maanā kisī kā
dil aate hī dam ho gayā apnā ruḳhsat
ye aanā kisī kā hai jaanā kisī kā
Daro ai buto hai vo allāh kā ghar
bahut man’a hai dil dukhānā kisī kā
vahīñ bhuul jā.egī ye naġhma-sanjī
jo tū sun le bulbul tarānā kisī kā
hue saikḌoñ qatl bismil hazāroñ
ye hai qahr surma lagānā kisī kā
muqarrar balā koī lā.egā sar par
'abas hai ye gesū baḌhānā kisī kā
jo dam nikle apnā to yuuñ nikle yā-rab
merā sar ho aur āstānā kisī kā
hue narm sun-sun ke vo haal merā
fusūñ ho gayā ye fasānā kisī kā
na sad-chāk kyuuñ merā ho rashk se dil
bahut sar-phirā hai ye shānā kisī kā
hai pachhtāne se fā.eda kyā ab ai dil
jo pahle hī kahnā na maanā kisī kā
ḳhabar merī rehlat kī sun kar vo bole
ki aaj uTh gayā āb-o-dānā kisī kā
mubarak jawani pe aana kisi ka
hua auj par ab zamana kisi ka
shab-e-wasl to chain se guzri lekin
sitam ho gaya subh jaana kisi ka
utar aae zohra falak se chhama-chham
ye hai sehr wallah gana kisi ka
bulaya hai qasid to ja kar ye kah de
ki kya khel samjha hai aana kisi ka
liya bosa jhaT-jhaT to jhunjhla ke bole
hai be-shak bura munh lagana kisi ka
kaha haal-e-dil mera suniye to bole
nahin bhata hum ko fasana kisi ka
lage toDne band mahram ke joban
sitam hai jawani pe aana kisi ka
yahan kya hai mahshar mein malum hoga
tumhein shoala-ru yun jalana kisi ka
ghazab tha sitam tha wo aTkheliyon se
chhama-chham shab-e-wasl aana kisi ka
kaha un ko jab shoala-ru hans ke bole
hai zeba hamein ab jalana kisi ka
wo baiThe hain koThe pe bikhra ke zulfen
hai madd-e-nazar dil phansana kisi ka
KHizan aate hi bagh matam-sara tha
qiyamat hai bulbul ye aana kisi ka
mohabbat mein kho baiThe jaan-o-jigar dil
bataen tumhein kya Thikana kisi ka
chhupa kar dupaTTe se munh apna bole
maza de gaya muskurana kisi ka
na maghrur ho daulat-e-husn par tum
raha hai kahan ye KHazana kisi ka
sabhi kahte the 'ishq hai aafat-e-jaan
kaha tum ne hargiz na mana kisi ka
dil aate hi dam ho gaya apna ruKHsat
ye aana kisi ka hai jaana kisi ka
Daro ai buto hai wo allah ka ghar
bahut man’a hai dil dukhana kisi ka
wahin bhul jaegi ye naghma-sanji
jo tu sun le bulbul tarana kisi ka
hue saikDon qatl bismil hazaron
ye hai qahr surma lagana kisi ka
muqarrar bala koi laega sar par
'abas hai ye gesu baDhana kisi ka
jo dam nikle apna to yun nikle ya-rab
mera sar ho aur aastana kisi ka
hue narm sun-sun ke wo haal mera
fusun ho gaya ye fasana kisi ka
na sad-chaak kyun mera ho rashk se dil
bahut sar-phira hai ye shana kisi ka
hai pachhtane se faeda kya ab ai dil
jo pahle hi kahna na mana kisi ka
KHabar meri rehlat ki sun kar wo bole
ki aaj uTh gaya aab-o-dana kisi ka
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 13)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.