bazm-e-ushshaq mein kya jaane kidhar dekhenge
bazm-e-'ushshāq meñ kyā jaane kidhar dekheñge
dil ye detā hai gavāhī ki idhar dekheñge
kam-sinī hai zideñ bhī haiñ nirālī un kī
us pe machle haiñ ki ham dard-e-jigar dekheñge
ek dil ek jigar laayā thā donoñ chhīne
ab mere paas rahā kyā jo idhar dekheñge
mujh meñ aur sham.a meñ hotī thī shab-e-hijr ye baat
aaj kī raat bacheñge to sahar dekheñge
log samjhāte haiñ be-kār fasāhat mujh ko
tark kar deñge jo ulfat to zarar dekheñge
bazm-e-'ushshaq mein kya jaane kidhar dekhenge
dil ye deta hai gawahi ki idhar dekhenge
kam-sini hai ziden bhi hain nirali un ki
us pe machle hain ki hum dard-e-jigar dekhenge
ek dil ek jigar laya tha donon chhine
ab mere pas raha kya jo idhar dekhenge
mujh mein aur shama mein hoti thi shab-e-hijr ye baat
aaj ki raat bachenge to sahar dekhenge
log samjhate hain be-kar fasahat mujh ko
tark kar denge jo ulfat to zarar dekhenge
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 14)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.