mubtalā-e-ġham dil-e-nākām hai
jī kā aanā maut kā paiġhām hai
dil kā le lenā hai sheva aap kā
jaan de denā hamārā kaam hai
letā jā o nāma-bar merī zabāñ
bas yahī naama yahī paiġhām hai
un kī āñkhoñ ko koī kahtā nahīñ
dil hamārā muft meñ badnām hai
us ke kūcha meñ paḌā huuñ thak ke maiñ
aage ai taqdīr terā kaam hai
ek zālim kā tasavvur hai mujhe
kyā ḳhabar hai sub.h hai yā shaam hai
vo jidhar muñh kar ke soye raat bha
din idhar ko aur udhar ko shaam hai
mubtala-e-gham dil-e-nakaam hai
ji ka aana maut ka paigham hai
dil ka le lena hai shewa aap ka
jaan de dena hamara kaam hai
leta ja o nama-bar meri zaban
bas yahi nama yahi paigham hai
un ki aankhon ko koi kahta nahin
dil hamara muft mein badnam hai
us ke kucha mein paDa hun thak ke main
aage ai taqdir tera kaam hai
ek zalim ka tasawwur hai mujhe
kya KHabar hai subh hai ya sham hai
wo jidhar munh kar ke soye raat bha
din idhar ko aur udhar ko sham hai
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.