aankhon mein bas raha hai dil mein sama raha hai
āñkhoñ meñ bas rahā hai dil meñ samā rahā hai
har shakl meñ vo jalva apnā dikhā rahā hai
ham jān-o-dīn-o-īmāñ pahle hī de chuke haiñ
ai dil-rubā hamāre ab paas kyā rahā hai
baḳhshā tujhe ḳhudā ne ai shaah aisā rutba
dar par tire ik 'ālam sar ko jhukā rahā hai
ham ko to hai vasīla mahbūb-e-kibriyā kā
dozaḳh se nāsehā kyuuñ mujh ko Darā rahā hai
hūroñ se ye malā.ik kahte the aa ke dekho
kis shaan se ḳhudā kā mahbūb aa rahā hai
terī galī meñ dekhā ham ne 'adam kā naqsha
koī to aa rahā hai koī to jā rahā hai
aankhon mein bas raha hai dil mein sama raha hai
har shakl mein wo jalwa apna dikha raha hai
hum jaan-o-din-o-iman pahle hi de chuke hain
ai dil-ruba hamare ab pas kya raha hai
baKHsha tujhe KHuda ne ai shah aisa rutba
dar par tere ek 'alam sar ko jhuka raha hai
hum ko to hai wasila mahbub-e-kibriya ka
dozaKH se naseha kyun mujh ko Dara raha hai
huron se ye malaik kahte the aa ke dekho
kis shan se KHuda ka mahbub aa raha hai
teri gali mein dekha hum ne 'adam ka naqsha
koi to aa raha hai koi to ja raha hai
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.