dil to tujh pe fida ai jaan kiye baiThe hain
dil to tujh pe fidā ai jaan kiye baiThe haiñ
jaam ham shauq-e-shahādat kā piye baiThe haiñ
koī mar jaaye to un ko nahīñ parvā sāhib
vo to pahlū meñ raqīboñ ko liye baiThe haiñ
ye mohabbat hai tirī naaz raqīboñ ke sahūñ
dil to jaltā hai magar sabr kiye baiThe haiñ
qabr meñ hogā na ārām kisī pahlū se
dil jo hamdard thā vo tujh ko diye baiThe haiñ
rahm khā haal pe ‘zāhir’ ke barā.e yasrib
jān-o-dil tujh pe vo qurbān kiye baiThe haiñ
dil to tujh pe fida ai jaan kiye baiThe hain
jam hum shauq-e-shahadat ka piye baiThe hain
koi mar jaye to un ko nahin parwa sahib
wo to pahlu mein raqibon ko liye baiThe hain
ye mohabbat hai teri naz raqibon ke sahun
dil to jalta hai magar sabr kiye baiThe hain
qabr mein hoga na aaram kisi pahlu se
dil jo hamdard tha wo tujh ko diye baiThe hain
rahm kha haal pe ‘zahir’ ke barae yasrib
jaan-o-dil tujh pe wo qurban kiye baiThe hain
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 20)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.