teri surat but-e-kafir KHuda ne wo banai hai
tirī sūrat but-e-kāfir ḳhudā ne vo banā.ī hai
ki ḳhauf-e-ḳhudā maa.il tirī saarī ḳhudā.ī hai
junūñ kā josh ho ai gul-badan tujh se judā.ī hai
havā-e-dāman-e-sahrā mire sar meñ samā.ī hai
huā zulf ’ambar-fām phir sar meñ samā.ī hai
qazā kā sāmnā hai maut phir tashrīf laa.ī hai
kisī din paan khāne meñ hañsī un ko jo aa.ī hai
dil par ḳhuun ahl-e-'ishq par bijlī girā.ī hai
huā manzūr phir tārāj karnā kishvar-e-dil kā
jo fauj-e-ranj-o-dard-e-hijr kī mujh par chaḌhā.ī hai
tire kūche se jīte-jī na uThūñgā na jā.ūñgā
mujhe merī qazā jān-e-jahāñ yaañ khīñch laa.ī hai
hamārī qabr par ro-ro ke farmāte haiñ hasrat se
ye vo 'āshiq hai jis ne jaan tak ham par gñvāi hai
ulajh kar vo savāl-e-bosa-e-kākul pe yuuñ bole
tujhe saudā huā hai yā ki terī maut aa.ī hai
vo 'īsā-dam jo aa jaatā to jī uThtā ye phir murda
yahī thā mashvara sab kā mirī jab laash uThā.ī hai
koī kahtā hai majnūñ aur koī kahtā hai dīvāna
tumhār 'ishq meñ pyāre ye zillat ham ne paa.ī hai
na kar lillāh us dāġh-e-junūñ ko rā.egāñ 'aḳhgar'
ki ye tere baḌe gāḌhe pasīne kī kamā.ī hai
teri surat but-e-kafir KHuda ne wo banai hai
ki KHauf-e-KHuda mail teri sari KHudai hai
junun ka josh ho ai gul-badan tujh se judai hai
hawa-e-daman-e-sahra mere sar mein samai hai
hua zulf ’ambar-fam phir sar mein samai hai
qaza ka samna hai maut phir tashrif lai hai
kisi din pan khane mein hansi un ko jo aai hai
dil par KHun ahl-e-'ishq par bijli girai hai
hua manzur phir taraj karna kishwar-e-dil ka
jo fauj-e-ranj-o-dard-e-hijr ki mujh par chaDhai hai
tere kuche se jite-ji na uThunga na jaunga
mujhe meri qaza jaan-e-jahan yan khinch lai hai
hamari qabr par ro-ro ke farmate hain hasrat se
ye wo 'ashiq hai jis ne jaan tak hum par gnwai hai
ulajh kar wo sawal-e-bosa-e-kakul pe yun bole
tujhe sauda hua hai ya ki teri maut aai hai
wo 'isa-dam jo aa jata to ji uThta ye phir murda
yahi tha mashwara sab ka meri jab lash uThai hai
koi kahta hai majnun aur koi kahta hai diwana
tumhaar 'ishq mein pyare ye zillat hum ne pai hai
na kar lillah us dagh-e-junun ko raegan 'aKHgar'
ki ye tere baDe gaDhe pasine ki kamai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.