jab se talash-e-yar mein khoya gaya hun main
jab se talāsh-e-yār meñ khoyā gayā huuñ maiñ
merā pata yahī hai ki bas lā-patā huuñ maiñ
qaid-e-gumāñ doham bashar se rahā huuñ maiñ
jism-o-misāl-o-jāñ se varā al-varā huuñ maiñ
banda huuñ maiñ kabhī kabhī apnā ḳhudā huuñ maiñ
hairat ye ḳhud mujhe hai ki dar-asl kyā huuñ maiñ
husn-e-’urūs-e-dahr pe jo mar rahā huuñ maiñ
dhoke meñ nafs-e-dūñ ke magar aa gayā huuñ maiñ
jab se talash-e-yar mein khoya gaya hun main
mera pata yahi hai ki bas la-pata hun main
qaid-e-guman doham bashar se raha hun main
jism-o-misal-o-jaan se wara al-wara hun main
banda hun main kabhi kabhi apna KHuda hun main
hairat ye KHud mujhe hai ki dar-asl kya hun main
husn-e-’urus-e-dahr pe jo mar raha hun main
dhoke mein nafs-e-dun ke magar aa gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.