Font by Mehr Nastaliq Web

did-e-jamal-e-haq hui husn-e-nigar dekh kar

Unknown

did-e-jamal-e-haq hui husn-e-nigar dekh kar

Unknown

MORE BYUnknown

    dīd-e-jamāl-e-haq huī husn-e-nigār dekh kar

    ban ga.e but-parast ham sūrat-e-yār pekh kar

    jaane kahāñ kahāñ qadam rakkhe mire huzūr ne

    sajde kiye haiñ jā-bajā un dayār dekh kar

    kab thā nasīb meñ sukūñ pahle haal thā zubūñ

    baḌh ga.iiñ aur uljhaneñ gesū-e-yār dekh kar

    pahle to chup khaḌe rahe sar ko jhukā.e sharm se

    ro diye phūT-phūT kar merā mazār dekh kar

    'sājid' nazar jo aa.e ham ye kyā kiyā chashm-e-yār ne

    tīr-e-nazar chalā diyā apnā shikār dekh kar

    did-e-jamal-e-haq hui husn-e-nigar dekh kar

    ban gae but-parast hum surat-e-yar pekh kar

    jaane kahan kahan qadam rakkhe mere huzur ne

    sajde kiye hain ja-baja un ka dayar dekh kar

    kab tha nasib mein sukun pahle hi haal tha zubun

    baDh gain aur uljhanen gesu-e-yar dekh kar

    pahle to chup khaDe rahe sar ko jhukae sharm se

    ro diye phuT-phuT kar mera mazar dekh kar

    'sajid' nazar jo aae hum ye kya kiya chashm-e-yar ne

    tir-e-nazar chala diya apna shikar dekh kar

    Source :
    • Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 163)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now