fasl-e-gul hai sharāb pī lījiye
zid na kiije janāb pī lījiye
aage chal kar hisāb honā hai
is liye be-hisāb pī lījiye
do to qatre haiñ jaam ke andar
kar ke zer-e-naqāb pī lījiye
jo piye chhup ke vo munāfiq hai
sharm kaisī janāb pī lījiye
dil kā shīsha hai aur ḳhulūs kī mai
ab to 'aalī janāb pī lījiye
jāvedānī surūr aa.egā
āsmānī gulāb pī lījiye
aap aur itnī zid 'adam' sāhab
haraj kyā hai sharāb pī lījiye
fasl-e-gul hai sharab pi lijiye
zid na kije janab pi lijiye
aage chal kar hisab hona hai
is liye be-hisab pi lijiye
do to qatre hain jam ke andar
kar ke zer-e-naqab pi lijiye
jo piye chhup ke wo munafiq hai
sharm kaisi janab pi lijiye
dil ka shisha hai aur KHulus ki mai
ab to 'ali janab pi lijiye
jawedani surur aaega
aasmani gulab pi lijiye
aap aur itni zid 'adam' sahab
haraj kya hai sharab pi lijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.