banai mujh be-nawa ki bigDi nasib mera jaga diya
banā.ī mujh be-navā kī bigḌī nasīb merā jagā diyā
tere karam ke nisār tū ne mujhe bhī jiinā sikhā diyā
badal ga.ī mere dil kī duniyā aaqā ne jo martaba diyā
karam kī aisī nigāh Daalī gadā ko sultāñ banā diyā
karam ke saa.e meñ ham ko rakkhā kabhī hirāsāñ na ham hue
hamāre sar par jo dhuup aa.ī to apnā dāman phailā diyā
ġharīb dar-dar bhaTak rahe the kahīñ na ham ko sukūñ milā
banā ke apnā faqīr mujh ko ġham-e-jahāñ se chhuḌā diyā
ye un kī banda-navāziyāñ haiñ ki mujh pe aisā karam kiyā
karam kiyā tū ne apne dar ko hamārā kā'ba banā diyā
banai mujh be-nawa ki bigDi nasib mera jaga diya
tere karam ke nisar tu ne mujhe bhi jina sikha diya
badal gai mere dil ki duniya aaqa ne jo martaba diya
karam ki aisi nigah Dali gada ko sultan bana diya
karam ke sae mein hum ko rakkha kabhi hirasan na hum hue
hamare sar par jo dhup aai to apna daman phaila diya
gharib dar-dar bhaTak rahe the kahin na hum ko sukun mila
bana ke apna faqir mujh ko gham-e-jahan se chhuDa diya
ye un ki banda-nawaziyan hain ki mujh pe aisa karam kiya
karam kiya tu ne apne dar ko hamara ka'ba bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.