tum agar yunhi nazren milate rahe mai-kahsi mere ghar se kahan jaegi
tum agar yūñhī nazreñ milāte rahe mai-kahsī mere ghar se kahāñ jā.egī
aur ye silsila mustaqil ho to phir be-ḳhudī mere ghar se kahāñ jā.egī
ik zamāne ke baa'd aa.ī hai shām-e-ġham shām-e-ġham mere ghar se kahāñ jā.egī
merī qismat meñ hai jo tumhārī kamī vo kamī mere ghar se kañh jā.egī
sham.a kī ab mujhe kuchh zarūrat nahīñ naam ko bhī shab-e-ġham meñ zulmat nahīñ
merā har dāġh-e-dil kam nahīñ chāñd se chāñdnī mere ghar se kahāñ jā.egī
tū ne jo ġham diye vo ḳhushī se liye tujh ko dekhā nahīñ phir bhī sajde kiye
itnā mazbūt hai jab 'aqīda mirā bandagī mere ghar se kahāñ jā.egī
zarf vaalā koī sāmne aa.e to maiñ bhī dekhūñ zarā us ko apnā.e to
merī hamrāz ye us kā hamrāz maiñ be-kasī mere ghar se kahāñ jā.egī
jo koī bhī tirī raah meñ mar gayā apnī hastī ko vo jāvedāñ kar gayā
maiñ shahīd-e-vafā ho gayā huuñ to kyā zindagī mere ghar se kahāñ jā.egī
tum agar yunhi nazren milate rahe mai-kahsi mere ghar se kahan jaegi
aur ye silsila mustaqil ho to phir be-KHudi mere ghar se kahan jaegi
ek zamane ke ba'd aai hai sham-e-gham sham-e-gham mere ghar se kahan jaegi
meri qismat mein hai jo tumhaari kami wo kami mere ghar se kanh jaegi
shama ki ab mujhe kuchh zarurat nahin nam ko bhi shab-e-gham mein zulmat nahin
mera har dagh-e-dil kam nahin chand se chandni mere ghar se kahan jaegi
tu ne jo gham diye wo KHushi se liye tujh ko dekha nahin phir bhi sajde kiye
itna mazbut hai jab 'aqida mera bandagi mere ghar se kahan jaegi
zarf wala koi samne aae to main bhi dekhun zara us ko apnae to
meri hamraaz ye us ka hamraaz main be-kasi mere ghar se kahan jaegi
jo koi bhi teri rah mein mar gaya apni hasti ko wo jawedan kar gaya
main shahid-e-wafa ho gaya hun to kya zindagi mere ghar se kahan jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.