shaiKH-ji baiTh kar mai-kashon mein tark-e-mai ka irada na karna
shaiḳh-jī baiTh kar mai-kashoñ meñ tark-e-mai kā irāda na karnā
kufr hai aisī ne'amat ko pākar shukr kā ek sajda na karnā
kālī-kālī ghaTā chhā ga.ī hai chal rahī hai havā ThanDī-ThanDī
rut nashīlī hai do ghūñT pī lo duniyā vāloñ kī parvā na karnā
chhup ke saaqī ke dāman meñ chakh lo hogā īmān taaza tumhārā
aaj fursat milī hai gunah kī pārsā.ī kā da'ava na karnā
kis tarah hogī baḳhshish tumhārī josh aa.egā kaise ḳhudā ko
us kī rahmat pe kar ke bharosa kufr hai is gunah kā na karnā
kyā ġhazab kar rahe ho ḳhudā-rā mai se labrez sāġhar na toḌo
TuuT kar bad-du'ā jaam deñge bāda-noshī se tauba na karnā
kah rahe ho burā mai ko 'bismil' kyuuñ gunāh mol lete ho sar par
ḳhud pilā.eñ-gī jannat meñ hūreñ mai ko duniyā meñ rusvā na karnā
shaiKH-ji baiTh kar mai-kashon mein tark-e-mai ka irada na karna
kufr hai aisi ne'amat ko pakar shukr ka ek sajda na karna
kali-kali ghaTa chha gai hai chal rahi hai hawa ThanDi-ThanDi
rut nashili hai do ghunT pi lo duniya walon ki parwa na karna
chhup ke saqi ke daman mein chakh lo hoga iman taza tumhaara
aaj fursat mili hai gunah ki parsai ka da'awa na karna
kis tarah hogi baKHshish tumhaari josh aaega kaise KHuda ko
us ki rahmat pe kar ke bharosa kufr hai is gunah ka na karna
kya ghazab kar rahe ho KHuda-ra mai se labrez saghar na toDo
TuT kar bad-du'a jam denge baada-noshi se tauba na karna
kah rahe ho bura mai ko 'bismil' kyun gunah mol lete ho sar par
KHud pilaen-gi jannat mein huren mai ko duniya mein ruswa na karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.