hasti pe nikhaar aa jata hai jis waqt wo samne hote hain
hastī pe nikhār aa jaatā hai jis vaqt vo sāmne hote haiñ
har shai pe nikhār aa jaatā hai jis vaqt vo sāmne hote haiñ
jhuktī hai jabīñ sajde ke liye āñkheñ bhī tilāvat kartī haiñ
dil ko bhī qarār aa jaatā hai jis vaqt vo sāmne hote haiñ
chaltī hai havā bhī mastī meñ phūloñ se bhī gulshan meñ har-sū
jab rañg-e-bahār aa jaatā hai jis vaqt vo sāmne hote haiñ
parvāne kī hālat kyā kahiye parvāna hai āḳhir parvāna
ye sham.a ko bhī pyaar aa jaatā hai jis vaqt vo sāmne hote haiñ
maḳhmūr ghaTā chhā jaatī hai mas.hūr fazā ho jaatī hai
sab dil ko qarār aa jaatā hai jis vaqt vo sāmne aa jaate haiñ
hasti pe nikhaar aa jata hai jis waqt wo samne hote hain
har shai pe nikhaar aa jata hai jis waqt wo samne hote hain
jhukti hai jabin sajde ke liye aankhen bhi tilawat karti hain
dil ko bhi qarar aa jata hai jis waqt wo samne hote hain
chalti hai hawa bhi masti mein phulon se bhi gulshan mein har-su
jab rang-e-bahaar aa jata hai jis waqt wo samne hote hain
parwane ki haalat kya kahiye parwana hai aaKHir parwana
ye shama ko bhi pyar aa jata hai jis waqt wo samne hote hain
maKHmur ghaTa chha jati hai mashur faza ho jati hai
sab dil ko qarar aa jata hai jis waqt wo samne aa jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.