mushtaq hua jab se ye diwana tumhaara
mushtāq huā jab se ye dīvāna tumhārā
jaama meñ samātā nahīñ mastāna tumhārā
sakta meñ paḌā hai koī hairat hai kisī ko
allāh re ye jalva-e-jānāna tumhārā
jām-e-mai-e-tauhīd 'ināyat ho hameñ bhī
saaqī rahe ābād ye mai-ḳhāna tumhārā
ma.abūd tumhīñ har jagah matlūb tumhīñ ho
masjid bhī tumhārī hai ye but-ḳhāna tumhārā
har dil meñ tumhīñ rahte ho har jā pe tumhīñ ho
ka.aba hī nahīñ sirf jalva-ḳhana tumhārā
har shaḳhs mohabbat meñ tumhārī hī phañsā hai
muusā hī nahīñ vālih-o-dīvāna tumhārā
phir bhī hai taġhāful tumheñ 'ahsan' se sad afsos
shaidā vo tumhārā hai vo dīvāna tumhārā
mushtaq hua jab se ye diwana tumhaara
jama mein samata nahin mastana tumhaara
sakta mein paDa hai koi hairat hai kisi ko
allah re ye jalwa-e-jaanana tumhaara
jam-e-mai-e-tauhid 'inayat ho hamein bhi
saqi rahe aabaad ye mai-KHana tumhaara
mabud tumhin har jagah matlub tumhin ho
masjid bhi tumhaari hai ye but-KHana tumhaara
har dil mein tumhin rahte ho har ja pe tumhin ho
kaba hi nahin sirf jalwa-KHana tumhaara
har shaKHs mohabbat mein tumhaari hi phansa hai
musa hi nahin walih-o-diwana tumhaara
phir bhi hai taghaful tumhein 'ahsan' se sad afsos
shaida wo tumhaara hai wo diwana tumhaara
- Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 5)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.