jis ki jaanib wo nazar apni uTha dete hain
jis kī jānib vo nazar apnī uThā dete haiñ
us kī soī huī taqdīr jagā dete haiñ
terī duzdīda nigāhoñ ko du'ā dete haiñ
jitne chubhte haiñ ye tiir utnā mazā dete haiñ
jab se dekhā hai unheñ apnā mujhe hosh nahīñ
jaane kyā chiiz vo nazroñ se pilā dete haiñ
takHat kyā chiiz hai aur lā'l-o-javāhar kyā haiñ
'ishq vaale to ḳhudā.ī bhī luTā dete haiñ
ek din aisā bhī aatā hai mohabbat meñ zarūr
ḳhud vo ghabrā ke naqāb apnā uThā dete haiñ
apnī barbādī pe ḳhush huuñ ye sunā hai jab se
vo jise apnā samajhte haiñ miTā dete haiñ
apne dāman ko zarā aap bachā kar rakhnā
sard aahoñ se bhī ham aag lagā dete haiñ
jis ki jaanib wo nazar apni uTha dete hain
us ki soi hui taqdir jaga dete hain
teri duzdida nigahon ko du'a dete hain
jitne chubhte hain ye tir utna maza dete hain
jab se dekha hai unhen apna mujhe hosh nahin
jaane kya chiz wo nazron se pila dete hain
takHat kya chiz hai aur la'l-o-jawahar kya hain
'ishq wale to KHudai bhi luTa dete hain
ek din aisa bhi aata hai mohabbat mein zarur
KHud wo ghabra ke naqab apna uTha dete hain
apni barbaadi pe KHush hun ye suna hai jab se
wo jise apna samajhte hain miTa dete hain
apne daman ko zara aap bacha kar rakhna
sard aahon se bhi hum aag laga dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.