Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

uqābī shan se jhapTe the jo be-bāl-o-par nikle

Allama Iqbal

uqābī shan se jhapTe the jo be-bāl-o-par nikle

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    uqābī shaan se jhapTe the jo be-bāl-o-par nikle

    sitāre shaam ke ḳhūn-e-shafaq meñ Duub kar nikle

    hue madfūn-e-dariyā zer-e-dariyā tairne vaale

    tamāñche mauj ke khāte the jo ban kar guhar nikle

    ġhubār-e-rahguzar haiñ kīmiyā par naaz thā jin ko

    jabīneñ ḳhaak par rakhte the jo iksīr-gar nikle

    hamārā narm-rau qāsid payām-e-zindagī laayā

    ḳhabar detī thiiñ jin ko bijliyāñ vo be-ḳhabar nikle

    haram rusvā huā pīr-e-haram kam-nigāhī se

    javānān-e-tatārī kis qadar sāhab-nazar nikle

    zamīñ se nūryān-e-āsmāñ-parvāz kahte the

    ye ḳhākī zinda-tar pā.enda-tar tābinda-tar nikle

    jahāñ meñ ahl-e-īmāñ sūrat-e-ḳhurshīd jiite haiñ

    idhar Duube udhar nikle udhar Duube idhar nikle

    uqābī shan se jhapTe the jo be-bāl-o-par nikle

    sitāre sham ke ḳhūn-e-shafaq meñ Dub kar nikle

    hue madfūn-e-dariyā zer-e-dariyā tairne wale

    tamāñche mauj ke khāte the jo ban kar guhar nikle

    ġhubār-e-rahguzar haiñ kīmiyā par naz thā jin ko

    jabīneñ ḳhak par rakhte the jo iksīr-gar nikle

    hamārā narm-rau qāsid payām-e-zindagī layā

    ḳhabar detī thiñ jin ko bijliyāñ wo be-ḳhabar nikle

    haram ruswā huā pīr-e-haram kam-nigāhī se

    jawānān-e-tatārī kis qadar sāhab-nazar nikle

    zamīñ se nūryān-e-āsmāñ-parwāz kahte the

    ye ḳhākī zinda-tar pāenda-tar tābinda-tar nikle

    jahāñ meñ ahl-e-īmāñ sūrat-e-ḳhurshīd jite haiñ

    idhar Dube udhar nikle udhar Dube idhar nikle

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now