Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

us bazm meñ mujhe nahīñ bantī hayā kiye

Mirza Ghalib

us bazm meñ mujhe nahīñ bantī hayā kiye

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    us bazm meñ mujhe nahīñ bantī hayā kiye

    baiThā rahā agarche ishāre huā kiye

    dil to hai siyāsat-e-darbāñ se Dar gayā

    maiñ aur jā.ūñ dar se tire bin sadā kiye

    rakhtā phirūñ huuñ ḳhirqa o sajjāda rahn-e-mai

    muddat huī hai dāvat āb-o-havā kiye

    be-sarfa guzartī hai ho garche umr-e-ḳhizr

    hazrat bhī kal kaheñge ki ham kyā kiyā kiye

    maqdūr ho to ḳhaak se pūchhūñ ki ai la.iim

    ne vo ganj-hā-e-garāñ-māya kyā kiye

    kis roz tohmateñ na tarāshā kiye adū

    kis din hamāre sar pe na aare chalā kiye

    sohbat meñ ġhair na paḌī ho kahīñ ye ḳhū

    dene lagā hai bosa baġhair iltijā kiye

    zid hai aur baat magar ḳhū burī nahīñ

    bhūle se us ne saikḌoñ va.ade vafā kiye

    'ġhālib' tumhīñ kaho ki milegā javāb kyā

    maanā ki tum kahā kiye aur vo sunā kiye

    us bazm meñ mujhe nahīñ bantī hayā kiye

    baiThā rahā agarche ishāre huā kiye

    dil to hai siyāsat-e-darbāñ se Dar gayā

    maiñ aur jāūñ dar se tere bin sadā kiye

    rakhtā phirūñ huñ ḳhirqa o sajjāda rahn-e-mai

    muddat huī hai dāwat āb-o-hawā kiye

    be-sarfa guzartī hai ho garche umr-e-ḳhizr

    hazrat bhī kal kaheñge ki hum kyā kiyā kiye

    maqdūr ho to ḳhak se pūchhūñ ki ai laim

    ne wo ganj-hā-e-garāñ-māya kyā kiye

    kis roz tohmateñ na tarāshā kiye adū

    kis din hamāre sar pe na aare chalā kiye

    sohbat meñ ġhair na paḌī ho kahīñ ye ḳhū

    dene lagā hai bosa baġhair iltijā kiye

    zid hai aur baat magar ḳhū burī nahīñ

    bhūle se us ne saikḌoñ wade wafā kiye

    'ġhālib' tumhīñ kaho ki milegā jawāb kyā

    manā ki tum kahā kiye aur wo sunā kiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now