uske chehre pe KHuda jaane ye kaisa nur tha
uske chehre pe KHuda jaane ye kaisa nur tha
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
us ke chehre pe ḳhudā jaane ye kaisā nuur thā
varna ye dīvāngī kab ishq kā dastūr thā
surma-e-vahdat jo khīñchā ishq ne āñkhoñ ke biich
jaun sā patthar nazar aayā vo koh-e-tūr thā
paas aane ko mere bo.d-e-masāfat kuchh na thī
ġhaur kar dekhā to maiñ hī dil se tere duur thā
lag gayā nāgāh us par ye tirā tīr-e-nigāh
dil kā shīsha jo baġhal meñ ham ne dekhā chuur thā
dil ko tere dukh diyā hai 'ishq' kin ne ham se kah
shoḳh thā be-bāk thā ḳhūñ-ḳhvār thā maġhrūr thā
us ke chehre pe KHuda jaane ye kaisa nur tha
warna ye diwangi kab ishq ka dastur tha
surma-e-wahdat jo khincha ishq ne aankhon ke bich
jaun sa patthar nazar aaya wo koh-e-tur tha
pas aane ko mere bod-e-masafat kuchh na thi
ghaur kar dekha to main hi dil se tere dur tha
lag gaya nagah us par ye tera tir-e-nigah
dil ka shisha jo baghal mein hum ne dekha chur tha
dil ko tere dukh diya hai 'ishq' kin ne hum se kah
shoKH tha be-bak tha KHun-KHwar tha maghrur tha
- Book : Bihar men Urdu ki Sufiyana Shairi (Pg. 129)
- Author : Mohammad Tayyab Abdali
- Publication : Israr Karimi Press Allahabad (1988)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.