usne bhari mahfil ko diwana bana Dala
us ne bharī mahfil ko dīvāna banā Daalā
ḳhud sham.a banā sab ko parvāna banā Daalā
dil apnā mohammad kā kāshāna banā Daalā
ujḌe hue is ghar ko shāhāna banā Daalā
vahdat kī pilā kar mai us sāqī-e-kausar ne
ek ālam-e-kasrat ko mastāna banā Daalā
dikhlā ke jhalak apnī allāh ne muusā ko
dīvāna banā Daalā parvāna banā Daalā
chullū se pilā saaqī paimāna nahīñ to kyā
ham ne inhīñ hāthoñ ko paimāna banā Daalā
ab yaad mire dil meñ har-vaqt butoñ kī hai
allāh kā ghar maiñ ne but-ḳhāna banā Daalā
'sanjar' ko ḳhair apnī kuchh bhī nahīñ vahshat haiñ
ulfat ne use aisā dīvāna banā Daalā
us ne bhari mahfil ko diwana bana Dala
KHud shama bana sab ko parwana bana Dala
dil apna mohammad ka kashana bana Dala
ujDe hue is ghar ko shahana bana Dala
wahdat ki pila kar mai us saqi-e-kausar ne
ek aalam-e-kasrat ko mastana bana Dala
dikhla ke jhalak apnī allah ne musa ko
diwana bana Dala parwana bana Dala
chullu se pila saqi paimana nahin to kya
hum ne inhin hathon ko paimana bana Dala
ab yaad mere dil mein har-waqt buton ki hai
allah ka ghar main ne but-KHana bana Dala
'sanjar' ko KHair apnī kuchh bhi nahin wahshat hain
ulfat ne use aisa diwana bana Dala
- Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 13)
- Author : Sanjar Ghazipuri
- Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.