us ruKH-e-pak ka jis bazm charcha hoga
us ruḳh-e-pāk kā jis bazm charchā hogā
dar-o-dīvār se vaañ nuur barastā hogā
kyuuñ na ho ġhairat-e-barg shajar tūr-e-zabāñ
jab mire muñh meñ tirā vasf sarāpā hogā
habbazā saaf jabīñ salle-'alā peshānī
sho.ala-e-tūr ḳhajil dekh ye māthā hogā
us qad-e-pāk ke saa.e kā bandhā hai jo ḳhayāl
aḳhtar-e-baḳht 'adam meñ mirā chamkā hogā
māh-e-nau 'iid shafā'at kā chamak jāvegā
jis taraf hashr meñ abrū kā ishāra hogā
shān-e-mahbūbī se jab aap nikal ā.eñge
rū-kash-e-sahn-e-chaman hashr kā arsa hogā
jā.eñge sū-e-chaman kunj-e-qafas se chhuT kar
apnī qismat meñ koī aur bhī aisā hogā
ham-safīro mirā ahvāl bhī kahlā bhejo
koī zaddār madīne ko bhī jaatā hogā
hai madīne kī ziyārat kā jo 'kāfī' mushtāq
ye irāda mirā yā-rab kabhī purā hogā
us ruKH-e-pak ka jis bazm charcha hoga
dar-o-diwar se wan nur barasta hoga
kyun na ho ghairat-e-barg shajar tur-e-zaban
jab mere munh mein tera wasf sarapa hoga
habbaza saf jabin salle-'ala peshani
shoala-e-tur KHajil dekh ye matha hoga
us qad-e-pak ke sae ka bandha hai jo KHayal
aKHtar-e-baKHt 'adam mein mera chamka hoga
mah-e-nau 'id shafa'at ka chamak jawega
jis taraf hashr mein abru ka ishaara hoga
shan-e-mahbubi se jab aap nikal aaenge
ru-kash-e-sahn-e-chaman hashr ka arsa hoga
jaenge su-e-chaman kunj-e-qafas se chhuT kar
apni qismat mein koi aur bhi aisa hoga
ham-safiro mera ahwal bhi kahla bhejo
koi zaddar madine ko bhi jata hoga
hai madine ki ziyarat ka jo 'kafi' mushtaq
ye irada mera ya-rab kabhi pura hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.