us yar ne apni shakl dikha aaKHir ko kaam tamam kiya
us yar ne apni shakl dikha aaKHir ko kaam tamam kiya
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
us yaar ne apnī shakl dikhā āḳhir ko kaam tamām kiyā
dil muft meñ merā chhīn liyā āḳhir ko kaam tamām kiyā
kāfir bhī banā islām banā aur dair-o-haram meñ maqām kiyā
'āshiq bhī banā ma.ashūq banā āḳhir ko kaam tamām kiyā
aabid bhī banā ma.abūd banā sājid bhī banā masjūd banā
but barahman āp-hī-āp banā āḳhir ko kaam tamām kiyā
dar-asl ahad ahmad bhī banā hāmid bhī banā mahmūd banā
har tarah se bas iz.hār meñ aa āḳhir ko kaam tamām kiyā
'ḳhādim' bhī banā maḳhdūm banā maujūd banā ma.adūm banā
phir karke apnī aap sanā āḳhir ko kaam tamām kiyā
us yar ne apni shakl dikha aaKHir ko kaam tamam kiya
dil muft mein mera chhin liya aaKHir ko kaam tamam kiya
kafir bhi bana islam bana aur dair-o-haram mein maqam kiya
'ashiq bhi bana mashuq bana aaKHir ko kaam tamam kiya
aabid bhi bana mabud bana sajid bhi bana masjud bana
but barahman aap-hi-ap bana aaKHir ko kaam tamam kiya
dar-asl ahad ahmad bhi bana hamid bhi bana mahmud bana
har tarah se bas izhaar mein aa aaKHir ko kaam tamam kiya
'KHadim' bhi bana maKHdum bana maujud bana madum bana
phir karke apni aap sana aaKHir ko kaam tamam kiya
- Book : Asrar-e-Haqiqat (Pg. 16)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.