wo achhuta jam de ai murshid-e-mai-KHana aaj
vo achhūtā jaam de ai murshid-e-mai-ḳhāna aaj
dil ko raushan ho maqām-e-kā’aba-o-but-kHāna aaj
itnī rif’at baḳhsh de ai laġhzish-e-mastāna aaj
uḌ ke kū-e-yār tak pahuñche mirā afsāna aaj
is adā se chal rahā hai bazm meñ paimāna aaj
apnī hastī se huā jaatā huuñ maiñ begāna aaj
aabrū rakh le ḳhudā-yā tū mazāq-e-dīd kī
phir nazar aane ko hai 'aks-e-ruḳh-e-jānāna aaj
ḳhud barā-e-imtihāñ mahfil meñ vo haiñ jalva-gar
raas aa.e kaash merā jazba-e-mastāna aaj
is karam par jaan sadqe is karam par dil nisār
ho rahī hai bazm meñ phir pursish-e-dīvāna aaj
ai ḳhushā-qismat ye muzda hai kisī kī diid kā
jhuk rahī hai ḳhud jabīn-e-shauq be-tābāna aaj
ye jabīn-e-’ijz merī aur un kā pā-e-nāz
dīdanī hai manzar-e-dīd-e-ruḳh-e-jānāna aaj
rañg laane ko hai ai 'manzūr' nisbat yaar kī
khiñch rahī hai dil kī duniyā ḳhud sū-e-kāshāna aaj
wo achhuta jam de ai murshid-e-mai-KHana aaj
dil ko raushan ho maqam-e-ka’aba-o-but-kHana aaj
itni rif’at baKHsh de ai laghzish-e-mastana aaj
uD ke ku-e-yar tak pahunche mera afsana aaj
is ada se chal raha hai bazm mein paimana aaj
apni hasti se hua jata hun main begana aaj
aabru rakh le KHuda-ya tu mazaq-e-did ki
phir nazar aane ko hai 'aks-e-ruKH-e-jaanana aaj
KHud bara-e-imtihan mahfil mein wo hain jalwa-gar
ras aae kash mera jazba-e-mastana aaj
is karam par jaan sadqe is karam par dil nisar
ho rahi hai bazm mein phir pursish-e-diwana aaj
ai KHusha-qismat ye muzda hai kisi ki did ka
jhuk rahi hai KHud jabin-e-shauq be-tabana aaj
ye jabin-e-’ijz meri aur un ka pa-e-naz
didani hai manzar-e-did-e-ruKH-e-jaanana aaj
rang lane ko hai ai 'manzur' nisbat yar ki
khinch rahi hai dil ki duniya KHud su-e-kashana aaj
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Edited by Hasan Nawaz Shah) (Pg. 69)
- Publication : Makhduma Amir-Jan Library, Narali (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.