wo be-kas hun nahin hai koi mere gham-gusaron mein
vo be-kas huuñ nahīñ hai koī mere ġham-gusāroñ meñ
faqat ik dil hai to vo bhī tumhāre jāñ-nisāroñ meñ
tave kī buuñd badlī hī nahīñ in ashk-bāroñ meñ
sharār-e-murda hai bijlī bhī tere be-qarāroñ meñ
haqīqat āshiqoñ kī marg kī ham se koī pūchhe
bahut jab niiñd aa.ī so rahe jā kar mazāroñ meñ
nigāh-e-yār kyā badlī jahāñ badlā havā badlī
vo dushman jaan ke haiñ the jo aage jāñ-nisāroñ meñ
uḌā paarā jalā ispand dab kar rah ga.ī bijlī
hamīñ sābit-qadam Thahre tumhāre be-qarāroñ meñ
farishtoñ se kaho itnī qiyāmat meñ ḳhabar rakheñ
kahīñ chhup-chhup ke zāhid mil na jaa.eñ bāda-ḳhvāroñ meñ
judā hai duḳht-e-raz kā naam har sohbat meñ ai saaqī
parī hai mai-kashoñ meñ huur hai parhezgāroñ meñ
bahut the jalva-gāh-e-yār meñ dīdār ke tālib
kalīm-ullāh aage baḌh ga.e ummīdvāroñ meñ
ḳhudā jaane kahāñ dil jaan kis jalse meñ hai apnī
ba-zāhir but bane baiThe haiñ ham har chand yāroñ meñ
sū-e-gor-e-garībāñ aa.eñ vo ye pūchhte yā-rab
mere kushte kī turbat kaun sī hai in mazāroñ meñ
tirā ubhrā huā joban ye un ko gudgudātā hai
ki lauTe jaate haiñ maare hañsī ko phuul hāroñ meñ
qabā ke band kholo parda ulTo kuchh hañso bolo
jo aa.e ho to baiTho be-takalluf ho ke yāroñ meñ
idhar bhī ik nigāh-e-nāz apne husn kā sadqa
ki roz-e-hashr merī aañkh nīchī ho na yāroñ meñ
'amīr' un se na bachtī duḳht-e-raz āñkhoñ meñ pī jaate
javānī kā guzar shāyad nahīñ parhezgāroñ meñ
wo be-kas hun nahin hai koi mere gham-gusaron mein
faqat ek dil hai to wo bhi tumhaare jaan-nisaron mein
tawe ki bund badli hi nahin in ashk-baron mein
sharar-e-murda hai bijli bhi tere be-qararon mein
haqiqat aashiqon ki marg ki hum se koi puchhe
bahut jab nind aai so rahe ja kar mazaron mein
nigah-e-yar kya badli jahan badla hawa badli
wo dushman jaan ke hain the jo aage jaan-nisaron mein
uDa para jala ispand dab kar rah gai bijli
hamin sabit-qadam Thahre tumhaare be-qararon mein
farishton se kaho itni qiyamat mein KHabar rakhen
kahin chhup-chhup ke zahid mil na jaen baada-KHwaron mein
juda hai duKHt-e-raz ka nam har sohbat mein ai saqi
pari hai mai-kashon mein hur hai parhezgaron mein
bahut the jalwa-gah-e-yar mein didar ke talib
kalim-ullah aage baDh gae ummidwaron mein
KHuda jaane kahan dil jaan kis jalse mein hai apni
ba-zahir but bane baiThe hain hum har chand yaron mein
su-e-gor-e-gariban aaen wo ye puchhte ya-rab
mere kushte ki turbat kaun si hai in mazaron mein
tera ubhra hua joban ye un ko gudgudata hai
ki lauTe jate hain mare hansi ko phul haaron mein
qaba ke band kholo parda ulTo kuchh hanso bolo
jo aae ho to baiTho be-takalluf ho ke yaron mein
idhar bhi ek nigah-e-naz apne husn ka sadqa
ki roz-e-hashr meri aankh nichi ho na yaron mein
'amir' un se na bachti duKHt-e-raz aankhon mein pi jate
jawani ka guzar shayad nahin parhezgaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.