wo dil hi kya ki jis mein teri justuju na ho
wo dil hi kya ki jis mein teri justuju na ho
Shaah Faaiq Shahbazi
MORE BYShaah Faaiq Shahbazi
vo dil hī kyā ki jis meñ tirī justujū na ho
kis kaam kī zabāñ jo tirī guftugū na ho
mumkin nahīñ ki dil ho tirī aarzū na ho
kyā baat hai ki lab pe tirī guftugū na ho
bulbul chaman meñ kab ho guloñ par farefta
gar un meñ terā rañg na ho terī bū na ho
terā hī jalva jab hai har ik shai meñ āshakār
tuutī kī phir zabān pe kyuuñ tū hī tū na ho
gar yād-e-mā-sivā se ho ḳhālī dil-e-bashar
mumkin nahīñ ki jalva-numā us meñ tū na ho
hotā hai ḳhud-shanās hī 'fā.iq' ḳhudā-shanās
āvāra justujū meñ 'abas kū-ba-kū na ho
wo dil hi kya ki jis mein teri justuju na ho
kis kaam ki zaban jo teri guftugu na ho
mumkin nahin ki dil ho teri aarzu na ho
kya baat hai ki lab pe teri guftugu na ho
bulbul chaman mein kab ho gulon par farefta
gar un mein tera rang na ho teri bu na ho
tera hi jalwa jab hai har ek shai mein aashakar
tuti ki phir zaban pe kyun tu hi tu na ho
gar yaad-e-ma-siwa se ho KHali dil-e-bashar
mumkin nahin ki jalwa-numa us mein tu na ho
hota hai KHud-shanas hi 'faiq' KHuda-shanas
aawara justuju mein 'abas ku-ba-ku na ho
- Book : Armaghan-e-Faaeq (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.