wo jab se KHirman masarraton ka jala gae bijliyan gira ke
wo jab se KHirman masarraton ka jala gae bijliyan gira ke
Kamil Shattari
MORE BYKamil Shattari
vo jab se ḳhirman masarratoñ kā jalā ga.e bijliyāñ girā ke
sambhāle baiThā huuñ ḳhaak dil kī hazāroñ chiñgāriyāñ dabā ke
baḌe maze se guzar rahī thī ye kyā kyā dīda-var banā ke
idhar to aao balā.eñ le luuñ kahāñ chale ḳhaak meñ milā ke
tamām izzat hai aap hī kī ye chheḌā pane gadā se kaisī
na dekhiye yuuñ mirā tamāsha huzūr ab Thokareñ khilā ke
janāb-e-zāhid ye mai-kada hai idhar kā ruḳh tum ne kyuuñ liyā hai
na jaane kitnoñ ne haar maanī nigāh saaqī kī shah meñ aake
ḳhabar to lo kis kī hai ye shoḳhī ki ek bijlī sī dil meñ chamkī
nafs kī rāhoñ se chal diyā hai abhī koī mere gudgudā ke
subuk-nigāhī ke daaġh se to ye hasrat-e-dīd hī bhalī hai
ham apnā ḳhud e'tibār khote kisī ke aage nazar uThā ke
kisī kī mahfil meñ kyā batā.eñ dimāġh apnā kahāñ thā āḳhir
hamārī duniyā hī aur kuchh thī jo us ne dekhā thā muskurā ke
ajab nahīñ hai yahī adā.eñ junūñ ke phir hausle baḌhā.eñ
zarā sā dāman ko chhū liyā thā jhaTak diyā tum ne adbadā ke
simaT ke sab aa ga.ī hai yārab kahāñ se ye kā.enāt mujh meñ
kahāñ kahāñ se guzar rahāñ huuñ nazar se un kī nazar milā ke
agar tumheñ yaar mil chukā hai to phir haram hai na but-kada hai
ġhilāf ka.aba pe jaake Daalo butoñ ko rakho kahīñ uThā ke
na jaane 'kāmil' ko kyā huā hai tumhār qadmoñ pe lauTtā hai
baḌā hī gustāḳh kar diyā hai huzūr ne us ko muñh lagā ke
wo jab se KHirman masarraton ka jala gae bijliyan gira ke
sambhaale baiTha hun KHak dil ki hazaron chingariyan daba ke
baDe maze se guzar rahi thi ye kya kya dida-war bana ke
idhar to aao balaen le lun kahan chale KHak mein mila ke
tamam izzat hai aap hi ki ye chheDa pane gada se kaisi
na dekhiye yun mera tamasha huzur ab Thokaren khila ke
janab-e-zahid ye mai-kada hai idhar ka ruKH tum ne kyun liya hai
na jaane kitnon ne haar mani nigah saqi ki shah mein aake
KHabar to lo kis ki hai ye shoKHi ki ek bijli si dil mein chamki
nafs ki rahon se chal diya hai abhi koi mere gudguda ke
subuk-nigahi ke dagh se to ye hasrat-e-did hi bhali hai
hum apna KHud e'tibar khote kisi ke aage nazar uTha ke
kisi ki mahfil mein kya bataen dimagh apna kahan tha aaKHir
hamari duniya hi aur kuchh thi jo us ne dekha tha muskura ke
ajab nahin hai yahi adaen junun ke phir hausle baDhaen
zara sa daman ko chhu liya tha jhaTak diya tum ne adbada ke
simaT ke sab aa gai hai yarab kahan se ye kaenat mujh mein
kahan kahan se guzar rahan hun nazar se un ki nazar mila ke
agar tumhein yar mil chuka hai to phir haram hai na but-kada hai
ghilaf kaba pe jake Dalo buton ko rakho kahin uTha ke
na jaane 'kaamil' ko kya hua hai tumhaar qadmon pe lauTta hai
baDa hi gustaKH kar diya hai huzur ne us ko munh laga ke
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 276)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.