wo jab tashrif lae ghar se dar tak
vo jab tashrīf laa.e ghar se dar tak
bhikārī kā bharā hai dar se ghar tak
dahā.ī nā ḳhudā.e be kisāñ kī
ke sailāb-e-alam pahuñchā kamar tak
ilāhī dil ko de vo soz-e-ulfat
phuñke siina jalan pahuñche jigar tak
na ho jab tak tumhārā naam shāmil
du'ā.eñ jā nahīñ saktīñ asar tak
ḳhudā yuuñ unkī ulfat meñ gumāñ de
na pā.ūñ phir kabhī apnī ḳhabar tak
na khol āñkheñ nigāh-e-shauq-e-nāqis
bahut parde haiñ husn-e-jalvagar tak
wo jab tashrif lae ghar se dar tak
bhikari ka bhara hai dar se ghar tak
dahai na KHudae be kisan ki
ke sailab-e-alam pahuncha kamar tak
ilahi dil ko de wo soz-e-ulfat
phunke sina jalan pahunche jigar tak
na ho jab tak tumhaara nam shamil
du'aen ja nahin saktin asar tak
KHuda yun unki ulfat mein guman de
na paun phir kabhi apni KHabar tak
na khol aankhen nigah-e-shauq-e-naqis
bahut parde hain husn-e-jalwagar tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.