wo masiha hone ka dawa kare
vo masīhā hone kā da.avā kare
ham se bīmāroñ ko jo achchhā kare
dost hī jab kaam dushman kā kare
phir koī dushman kā kyā shikva kare
aadmī āshiq bhī hai ma.ashūq bhī
apnā jalva aap ye dekhā kare
sīkhnā chāhe agar jaadū koī
us kī āñkhoñ kī taraf dekhā kare
ishq meñ āshiq kī ye me.arāj hai
qatl ho qātil kā muñh dekhā kare
hai vahī duniyā meñ 'akbar' sar-buland
yaar ke dar par jo sar ragḌā kare
wo masiha hone ka dawa kare
hum se bimaron ko jo achchha kare
dost hi jab kaam dushman ka kare
phir koi dushman ka kya shikwa kare
aadmi aashiq bhi hai mashuq bhi
apna jalwa aap ye dekha kare
sikhna chahe agar jadu koi
us ki aankhon ki taraf dekha kare
ishq mein aashiq ki ye mearaj hai
qatl ho qatil ka munh dekha kare
hai wahi duniya mein 'akbar' sar-buland
yar ke dar par jo sar ragDa kare
- Book : Ruhani Guldasta (Pg. 25)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Tanzim-e-Akbari, Khanqah Sajjadia, Danapur (2012)
- Edition : First
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 301)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani Press, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.