wo yaad aae to be-KHud ho gae hum
vo yaad aa.e to be-ḳhud ho ga.e ham
tasavvur meñ kisī ke kho ga.e ham
hai ajr-e-ḳhair nekī shar badī hai
vahī kaaTā ka.e jo bo ga.e ham
milā hai sāya-e-dīvār-e-jānāñ
bas ab to hashr tak ko sau ga.e ham
nazar aa.ī na ham ko sub.h-e-sādiq
zarūrat se ziyāda sau ga.e ham
nazar aayā hameñ jannat kā naqsha
'hafīz' un kī galī meñ jo ga.e ham
wo yaad aae to be-KHud ho gae hum
tasawwur mein kisi ke kho gae hum
hai ajr-e-KHair neki shar badi hai
wahi kaTa kae jo bo gae hum
mila hai saya-e-diwar-e-jaanan
bas ab to hashr tak ko sau gae hum
nazar aai na hum ko subh-e-sadiq
zarurat se ziyaada sau gae hum
nazar aaya hamein jannat ka naqsha
'hafiz' un ki gali mein jo gae hum
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 120)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.