tarik yaad-e-zulf mein sara jahan hai
tārīk yād-e-zulf meñ saarā jahān hai
pechīdgī zamīñ se tā-āsmān hai
paiham sujūd ne mujhe kāfir banā diyā
māthe pe goyā sajda-e-but kā nishān hai
shoḳhī se be-hijāb huā hai kisī kā husn
ai dil sambhal ki aaj terā imtihān hai
is ruḳh pe ka.ī adāoñ se lahrā rahī hai zulf
aapas kī chheḌ-chhāḌ meñ shab darmiyān hai
un koyaloñ pe TuuT paḌā kyuuñ na āsmāñ
sahrā kā ḳhaar ḳhaar merā rāzdāñ hai
'valī' ḳhayāl chashmam tabāñ kā asar na pūchh
ab dil pe ek qatra-e-ḳhūñ kā gumān hai
tarik yaad-e-zulf mein sara jahan hai
pechidgi zamin se ta-asman hai
paiham sujud ne mujhe kafir bana diya
mathe pe goya sajda-e-but ka nishan hai
shoKHi se be-hijab hua hai kisi ka husn
ai dil sambhal ki aaj tera imtihan hai
is ruKH pe kai adaon se lahra rahi hai zulf
aapas ki chheD-chhaD mein shab darmiyan hai
un koyalon pe TuT paDa kyun na aasman
sahra ka KHar KHar mera raazdan hai
'wali' KHayal chashmam taban ka asar na puchh
ab dil pe ek qatra-e-KHun ka guman hai
- Book : Sakhi ri Doli mein hoja Sawaar (Pg. 26)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.