dil mera agar mail-e-ashaar na hota
dil merā agar mā.il-e-ash'ār na hotā
bātoñ se mire 'ishq kā iz.hār na hotā
gar sehr-bayānī mirī mash.hūr na hotī
vo ġhuncha-dahan mā.il-e-guftār na hotā
har hashr talak tūl-e-shab-e-vasl ko yā-rab
tā hashr ruḳh-e-hijr numūdār na hotā
is kūcha meñ ġhairoñ ko surāġh apnā na miltā
paañv meñ agar aabla se ḳhaar na hotā
us mast-e-shakar-kHvāb se āhista guzaryo
ai bād-e-sahar kaash vo bedār na hotā
ai kaash na ho shaam mire vasl ke din kī
āsār-e-shab-e-tār numūdār na hotā
āvāza shafā'at kā nabī ke jo na sunte
'isyāñ pe 'vasī' ko kabhī isrār na hotā
dil mera agar mail-e-ash'ar na hota
baaton se mere 'ishq ka izhaar na hota
gar sehr-bayani meri mashhur na hoti
wo ghuncha-dahan mail-e-guftar na hota
har hashr talak tul-e-shab-e-wasl ko ya-rab
ta hashr ruKH-e-hijr numudar na hota
is kucha mein ghairon ko suragh apna na milta
panw mein agar aabla se KHar na hota
us mast-e-shakar-kHwab se aahista guzaryo
ai baad-e-sahar kash wo bedar na hota
ai kash na ho sham mere wasl ke din ki
aasar-e-shab-e-tar numudar na hota
aawaza shafa'at ka nabi ke jo na sunte
'isyan pe 'wasi' ko kabhi israr na hota
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 45)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.