aaina-e-nazar ko main ru-ba-ru rakkha hun
ā.īna-e-nazar ko maiñ rū-ba-rū rakkhā huuñ
jo dekhtā hai mujh ko maiñ us ko dekhtā huuñ
abr-e-ḳhudī se tābāñ hai āftāb-e-vahdat
goyā hai zarra-zarra be-ḳhud ho maiñ ḳhudā huuñ
anjān huuñ jahāñ se hamdam huuñ jān-e-jāñ se
jo mujh ko jāntā hai maiñ us ko jāntā huuñ
yā dil-nashīñ hai dil meñ yā dil hai dil-nashīñ meñ
maiñ ā.īne meñ huuñ yā ā.īna dekhtā huuñ
be-harf-o-saut bāteñ karte haiñ aap mujh se
be-hosh-o-gosh meñ bhī goshe meñ sun rahā huuñ
ġhaib-o-shuhūd donoñ haiñ jalva-gāh merī
maiñ aap hī ḳhalā maiñ aap hī malā huuñ
donoñ makān dekhte haiñ aap jalva-farmā
but-ḳhāne meñ rahā huuñ kā'be meñ bhī rahā huuñ
kahte haiñ ahal 'ālam 'ālim meñ huuñ 'vatan' meñ
samjhā na koī mujh ko 'ālam banā rahā huuñ
aaina-e-nazar ko main ru-ba-ru rakkha hun
jo dekhta hai mujh ko main us ko dekhta hun
abr-e-KHudi se taban hai aaftab-e-wahdat
goya hai zarra-zarra be-KHud ho main KHuda hun
anjaan hun jahan se hamdam hun jaan-e-jaan se
jo mujh ko jaanta hai main us ko jaanta hun
ya dil-nashin hai dil mein ya dil hai dil-nashin mein
main aaine mein hun ya aaina dekhta hun
be-harf-o-saut baaten karte hain aap mujh se
be-hosh-o-gosh mein bhi goshe mein sun raha hun
ghaib-o-shuhud donon hain jalwa-gah meri
main aap hi KHala main aap hi mala hun
donon makan dekhte hain aap jalwa-farma
but-KHane mein raha hun ka'be mein bhi raha hun
kahte hain ahal 'alam 'alim mein hun 'watan' mein
samjha na koi mujh ko 'alam bana raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.