wasl ka paigham le mujh tak ajal aane ko hai
vasl kā paiġhām le mujh tak ajal aane ko hai
jaan istiqbāl-e-jānāñ ke liye jaane ko hai
us but-e-kursī-nashīñ kā dekh jalva baam par
hāmil-e-'arsh-e-barīñ ġhash khā ke gir jaane ko hai
sājid-o-masjūd meñ kyā farq hai paayā nahīñ
shaiḳh tā'at aab kī ḳhilqat ke dikhlāne ko hai
jaan dī jis ne vo jaanā vasl-e-jānāñ kā maza
sham' kā jo raaz hai mā'lūm parvāne ko hai
aap kī sūrat hai yā hairat hai mere rū-ba-rū
diida merā aap kā ā.īna ban jaane ko hai
ne'amat-e-dīdār-e-haq hisse meñ tere hai kahāñ
shaiḳh jī jannat ke meve jī terā khāne ko hai
kufr jis jā hai vahāñ īmān aatā hai nazar
rishta kuchh zunnār se tasbīh ke daane ko hai
kyā fazā hai kū-e-jānāñ meñ nahīñ jaanā koī
tan jo qāsir hai 'vatan' kā jaan se jaane ko hai
wasl ka paigham le mujh tak ajal aane ko hai
jaan istiqbaal-e-jaanan ke liye jaane ko hai
us but-e-kursi-nashin ka dekh jalwa baam par
hamil-e-'arsh-e-barin ghash kha ke gir jaane ko hai
sajid-o-masjud mein kya farq hai paya nahin
shaiKH ta'at aab ki KHilqat ke dikhlane ko hai
jaan di jis ne wo jaana wasl-e-jaanan ka maza
sham' ka jo raaz hai ma'lum parwane ko hai
aap ki surat hai ya hairat hai mere ru-ba-ru
dida mera aap ka aaina ban jaane ko hai
ne'amat-e-didar-e-haq hisse mein tere hai kahan
shaiKH ji jannat ke mewe ji tera khane ko hai
kufr jis ja hai wahan iman aata hai nazar
rishta kuchh zunnar se tasbih ke dane ko hai
kya faza hai ku-e-jaanan mein nahin jaana koi
tan jo qasir hai 'watan' ka jaan se jaane ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.