samjha na haq ko banda kahaya to kya hua
samjhā na haq ko banda kahāyā to kyā huā
andhe kī tarah ro ke pukārā to kyā huā
apne makāñ meñ yaar ko rakh kar nahīñ milā
kā'be ko jā ke haajī kahāyā to kyā huā
masjūd paas hai na huā ham-baġhal kabhī
kā'be meñ jā ke shaiḳh kahāyā to kyā huā
ḳhāshāk mā-sivā se na dil ko kyā safā
kā'be kā sahn jhaaḌ ke aayā to kyā huā
samjhā na kaun goyā hai is dam kalām kā
qur.ān paḌh ke tū ne sunā to kyā huā
jab tū miTe to hogā ġharīq-e-yam visāl
rakh kar ḳhudī ḳhudā ko pukārā to kyā huā
maiñ vahī nuur husn-e-azal huuñ samajh 'vatan'
miTTī meñ 'ishq ne jo milāyā to kyā huā
samjha na haq ko banda kahaya to kya hua
andhe ki tarah ro ke pukara to kya hua
apne makan mein yar ko rakh kar nahin mila
ka'be ko ja ke haji kahaya to kya hua
masjud pas hai na hua ham-baghal kabhi
ka'be mein ja ke shaiKH kahaya to kya hua
KHashak ma-siwa se na dil ko kya safa
ka'be ka sahn jhaD ke aaya to kya hua
samjha na kaun goya hai is dam kalam ka
quran paDh ke tu ne suna to kya hua
jab tu miTe to hoga ghariq-e-yam visal
rakh kar KHudi KHuda ko pukara to kya hua
main wahi nur husn-e-azal hun samajh 'watan'
miTTi mein 'ishq ne jo milaya to kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.