main aaina hun shaKHs aur aks tu hai
maiñ ā.īna huuñ shaḳhs aur 'aks tū hai
maiñ ġhā.eb huuñ tū tire hī rū-ba-rū hai
maiñ ā.īna huuñ shaḳhs aur 'aks tū hai
maiñ gup-chup huuñ tujh se tujhe guftugū hai
vo hai kaun-sā dil nahīñ jis meñ tū hai
vo hai kaun sā gul nahīñ jis meñ bū hai
sarāpā hai merā huvallāh se mamlū
nazar hū hai dil hū hai jaan hū hī hū hai
huā vasl jab āgayā ye samajh meñ
nahīñ tū hai maiñ huuñ nahīñ maiñ huuñ tū hai
kidhar sar jhukā.ūñ so farmāo qibla
tumhārā to jalva 'ayāñ chār-sū hai
‘vatan’ hashr meñ kis ko dekhūñ maiñ jā kar
mirā yaar har pal mire rū-ba-rū hai
main aaina hun shaKHs aur 'aks tu hai
main ghaeb hun tu tere hi ru-ba-ru hai
main aaina hun shaKHs aur 'aks tu hai
main gup-chup hun tujh se tujhe guftugu hai
wo hai kaun-sa dil nahin jis mein tu hai
wo hai kaun sa gul nahin jis mein bu hai
sarapa hai mera huwallah se mamlu
nazar hu hai dil hu hai jaan hu hi hu hai
hua wasl jab aagaya ye samajh mein
nahin tu hai main hun nahin main hun tu hai
kidhar sar jhukaun so farmao qibla
tumhaara to jalwa 'ayan chaar-su hai
‘watan’ hashr mein kis ko dekhun main ja kar
mera yar har pal mere ru-ba-ru hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.