jab ghair nazar se dur hua aur pai safai nainan mein
jab ghair nazar se dur hua aur pai safai nainan mein
Watan Hyderabadi
MORE BYWatan Hyderabadi
jab ġhair nazar se duur huā aur paa.ī safā.ī nainan meñ
tab shaan ḳhudā kī aa.ī nazar ban-ban ke ḳhudā.ī nainan meñ
ne dair meñ bhī tujh se milāne bhuul ke maiñ bhī kā'ba gayā
jab ahl-e-nazar se aañkh laḌī tab ramz bhī paa.ī nainan meñ
me'arāj agar honā hai tujhe aur haq se agar milnā hai tujhe
to tār-e-nazar ko ziina banā aur kar le rasā.ī nainan meñ
kasrat tū jise samjhā hai yahāñ vahdat hai vahī tū dekh 'ayāñ
kahte haiñ judā par dekhne ko paa.ī na judā.ī nainan meñ
vo mujh se jo pūchhā aa.uuñ kahāñ aur aap ko tujh meñ pā.ūñ kahāñ
tab dil kī safā.ī himmat se jānāñ ko bulā.ī nainan meñ
to tujh ko nazar se apne chhupā aa.egī nazar tab shān-e-ḳhudā
maknūñ hai burā.ī nainan meñ mash.hūñ hai bhalā.ī nainan meñ
paḌtī hai nazar jis shai pe mirī aatā hai nazar meñ saaf vahī
ummīd mirī ai ahl-e-nazar ḳhāliq se bar aa.ī nainan meñ
aatā hī nahīñ hai koī nazar juz haq ke hameñ ab jalva-gar
pherī hai janāb-e-'ishq ne ḳhud himmat se duhā.ī nainan meñ
kaunain hai tere pesh-e-nazar par tujh ko koī dekhā na bashar
har shaan se tū ne dīda-nashīñ sūrat jo chhupā.ī nainan meñ
ne zikr-e-ḳhudā ne fikr-e-ḳhudī ne ġhair na apnī yaad rahī
ik dīda-nashīñ kī diid 'vatan' bistar hai jamā.ī nainan meñ
DhūñDā maiñ 'vatan' gauhar dūsrā par mujh ko kahīñ banda na milā
kyā shaan ḳhudā kī shukr-e-ḳhudā be-parda samā.ī nainan meñ
jab ghair nazar se dur hua aur pai safai nainan mein
tab shan KHuda ki aai nazar ban-ban ke KHudai nainan mein
ne dair mein bhi tujh se milane bhul ke main bhi ka'ba gaya
jab ahl-e-nazar se aankh laDi tab ramz bhi pai nainan mein
me'araj agar hona hai tujhe aur haq se agar milna hai tujhe
to tar-e-nazar ko zina bana aur kar le rasai nainan mein
kasrat tu jise samjha hai yahan wahdat hai wahi tu dekh 'ayan
kahte hain juda par dekhne ko pai na judai nainan mein
wo mujh se jo puchha aaun kahan aur aap ko tujh mein paun kahan
tab dil ki safai himmat se jaanan ko bulai nainan mein
to tujh ko nazar se apne chhupa aaegi nazar tab shan-e-KHuda
maknun hai burai nainan mein mashhun hai bhalai nainan mein
paDti hai nazar jis shai pe meri aata hai nazar mein saf wahi
ummid meri ai ahl-e-nazar KHaliq se bar aai nainan mein
aata hi nahin hai koi nazar juz haq ke hamein ab jalwa-gar
pheri hai janab-e-'ishq ne KHud himmat se duhai nainan mein
kaunain hai tere pesh-e-nazar par tujh ko koi dekha na bashar
har shan se tu ne dida-nashin surat jo chhupai nainan mein
ne zikr-e-KHuda ne fikr-e-KHudi ne ghair na apni yaad rahi
ek dida-nashin ki did 'watan' bistar hai jamai nainan mein
DhunDa main 'watan' gauhar dusra par mujh ko kahin banda na mila
kya shan KHuda ki shukr-e-KHuda be-parda samai nainan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.