miT gaya zang-e-KHudi dil ki safai ho gai
miT gayā zañg-e-ḳhudī dil kī safā.ī ho ga.ī
jaan se guzrā to jānāñ tak rasā.ī ho ga.ī
hai dil-e-raushan meñ jalva saaf sham'-e-tūr kā
mere ghar meñ yaar kī jalva numā.ī ho ga.ī
shash jihat meñ ek hī sūrat nazar aane lagī
hai ḳhudā kī shaan ā.īna-e-ḳhudā.ī ho ga.ī
jo na dekhā ho koī kuuza meñ dariyā dekh le
mere bātin meñ do-'ālam kī samā.ī ho ga.ī
saath kasrat kā na chhūTā ham ne lī vahdat kī raah
jab ḳhudā apnā huā saarī ḳhudā.ī ho ga.ī
rū-ba-rū ā.īna-rū ke huuñ bashakl-e-ā.īna
āj-kal is tarh kī mujh ko safā.ī ho ga.ī
dar pe us mushkil-kushā ke tum raho hāzir 'vatan'
donoñ 'ālam kī jahāñ 'uqda-kushā.ī ho ga.ī
miT gaya zang-e-KHudi dil ki safai ho gai
jaan se guzra to jaanan tak rasai ho gai
hai dil-e-raushan mein jalwa saf sham'-e-tur ka
mere ghar mein yar ki jalwa numai ho gai
shash jihat mein ek hi surat nazar aane lagi
hai KHuda ki shan aaina-e-KHudai ho gai
jo na dekha ho koi kuza mein dariya dekh le
mere baatin mein do-'alam ki samai ho gai
sath kasrat ka na chhuTa hum ne li wahdat ki rah
jab KHuda apna hua sari KHudai ho gai
ru-ba-ru aaina-ru ke hun bashakl-e-aina
aaj-kal is tarh ki mujh ko safai ho gai
dar pe us mushkil-kusha ke tum raho hazir 'watan'
donon 'alam ki jahan 'uqda-kushai ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.